Social Icons

Pages

Thursday, 28 June 2012

Mahwari Ka Ilaj (menses treatment in Urdu and hindi)


Normal Mahwari koi beemari nahi aur na hi Mahwari Ke Ilaj ki zaroorat hoti hai. albatta abnormal mahwari ke kaii aqsaam hotay hai aur on ke ilaj ki zaroorat hoti hai


1. Mahwari Ka Band Hona
Auraton ki aik bimaari hai jis main be aatadali  ho jati hai is mein ya to mahwari aata hi nahi ya aakayr band ho jata hai. 

Causes (Asbab)

Ayam hamal mein sakht riazat, sanyas, raham mein paidaishi noqs, dargis ka istemal, kami khoon ki wajah se kamzori kay sabab mahwari mein kum aajati hai ya band ho jatey hain. Baaz bimaaryan baizay hirsutism acne, (headache) sardard aur bo ki allergy bhi mahwari kay band hone ka sabab banti hai.

2. Mahwari Ka Ziadah Aana
Aurton mein mahwari ki muddat 4 hafte ya 28 din hai. Agar mahwari aajaye ya muddat kay baad aaye to is mein be qaidgi ho jati hai mahwari 6-5 din rahta hai. Aiyam muqarrah mein ziadti ho jaye. Char roz ki bajaye hafta ya das din tak mahwari aata rahe. Ye aurat ki sahat per bura asar dalta hai.

Causes (Asbab):

Mahwari mein be qaidgi ki waja ya to koi andarooni sosiz ho sakti hai. Maslan raham mein warm hona, ya asqat hamal se koi kharabi ho jane se khoon ziada bahna soro ho jata hai. Maday mein tezabiyat aur sifar ki ziadti se ye marz ho jata hai.

Mahwari Ke Alamat :
Mareeza mein agar khoon kay ijma ki waja se mahwari mein ziada khoon bahta hai to is ki sehat per bura asar nahi ho ga balkay tabiyat halki hogi. Agar raham mein kisi kharabi ki waja se mahwari mein be qaidgi hai. To mareeza ko dard hoga, chehra murjha jaye ga ise kamzori hogi, serdard hoga.

Mahwari Ka Ilaj (Drugs)
Mareeza ko aaram-o- sakoon hona chahiye ise koi pareshani na ho. Kam kaj karne se rok dein. Agar khoon bakasrat jari hai to ise band na karein balkay beemari ka elaj karein. Marz ki tashkhees kay mutabiq mareeza ka elaj kayrwain khoon ki kami ho gai ho to is ko hematinics dein. Vitamins B complex dein.

Mahwari Ka Ilaj (Diet)
Mareeza ko zordar aur maqwi ghiza dein. Garam ashya se parhez kare. Doodh(milk), makhan, aur taza sabsiyan (vegetale) dein. Taza phal malte, kino aur anar wagaira khoob khalain.

Dysmenorrhea | Mahwari Dard Kay Sath Aana
Aurat ko mahwari aamooman dard kay sath aati hai kabhi dard khafeef hota hai aur kabhi shaded dard hota hai. Yeh do tarah ka hota hai.
1 Primari dard.
2 Secondary dard.

Mahwari ka dard pelvic mein kisi na kisi bimaari ki waja se hota hai pahli qisam mein pelvic mein dard nahi hota aur na koi bimaari hoti hai lekin doosri yani secondary mein pelvic mein koi na koi bimaari zaroori hoti hai.
Primary dismenoria nojawan baligh larkion ko mahwari shoro hone se 6 mah se aik sal kay andar shoro hota hai ye 72  ghante rahta hai ye dard ovation ki waja se hota  hai is waqt larki ki umer 20 se 24 sal kay ander hoti hai iss mein kisi tarah ki bimaari nahi hoti.
Secondary mein auraton ko pelvic mein bimaari ki waja se dard hota hai ye bimaarian ovary mein tumor, uterus kay firebrand tumor pelvic sosiz, uterus kay ander paidaaishi noqs, aur endometriosis waghaira hain. Iss mein shadeed dard hota hai primary dismenoria mein prostaglandins ziada bante hain jis ki waja se uterus ki deewaaron kay azlaat sukarte hain aur khoon ki splay kam ho jati hai is mein dard hota hai chakar aate hain qabz ho jati hai matli aur qay (vomiting) hai dil ki dharkan taiz ho jati hai jism ka har aazu dard karne lagta hai.

Laboratory Test
Iss condition mein mareez ka khoon test kia jaye. Pelvic kay kyat section biopsy aur ultrasound kar kay primary aur secondary dismenoria ki alaamaat ka muaina kia jaye agar bache dani mein rasoli wagaira ho to is ka pata chalaya jaye peeshaab ka mukammal test karwaya jaye.

Treatment | Ilaaj
Mareeza ko manderja zil (following) dawaiyan tajweez karain

1.    Ovestin golyan (ovestin .Tabs) aik goli subah aik dopahar aik sham ko dein.
2.    Buscopan glyan (Buscopan.Tabs) do golyan subah, dopahar aur do sham ko dein.
3.    Primaery dismenoria kay sadbab kay liye barth control golyan aur infection kay liye NSAIDS drags dein.
4.    Brufen golyan( Brufen Tab) 400 ml ki aik goli har 6 ghante baad dein ya Naprosyn 250 mg  har 6 ghante baad dein.
5.    Ponstan fort ki do golyan subah aur do sham ko dain.

Menses Problems In Urdu And Hindi

Question 1: kisi majboori ki wajah se mei ne mahwari ki date doctor kay mushwaray kay baad goliyan le kar kuch din agay barah di thi. Rozana aik goli li. Iskay baad to aik goli li. Iss kay baad to mahwari agae, lekin phir aglay mahiynay se mahwari bay quiada hogae. Mein kuch moti bhi hoti jari hun aur silan bayquida honay kay sath sath kam bhi horaha hai. kiya yeh parshaniyan iss waqt mahwari ki date barahnay kay baiz hi horahi hain?

Answer 1
: Aap khud ko ilzam na dain. Sirf 4-5 goliyan kahalenay se itni sari takleefay nahi hosakti. Yeh aik itefaaq ki baat maloom hoti hai, kay issi waqt se mahwari bayquida hori hai. motapay baranay ki dosri wajohaat bhi hosakti hai. jaisay roza mara ki masroofiat mein faraq anay kay sath zarorat se zaida khana layna ya phir kisi kay baiz zaidah khana wagaira. Motapa ghatanay se hi mawari bayquaida hojaye. Agar aisa nahi hota hai. to doctor Harmon ilaaj kay mutaliq mushwara lay. Tab tak ghizait lekin baigiar chikani ka khana le aur warzish karay.


Question 2: mein 20 saala dosheeza hun, meri mahwari abhi tak shuru nahi hui hai. meray waldain meri shadi karna chahatay hain. Sab khetay hain kay shaadi honay par theak hojaye ga. Lekin mein darti hun. Mahwari na honay se mein khud ko mukamal aurat mehsoos nahi kati aur shaadi kay baad susral walon ko yeh maloom hui to mujay bohat dukh bardasht karna partay ga. Mein kiya karon? Kuch mushwara dain. 

Answer 2: Aap ki parshani main samj gae hun. Mahwari shaadi kay baad azkhud kisi bhi tarh shuru nahi hojaye gae. Yeh to khud ko dukha daina hai. mahwari agar sahi omar mein shuru na ho to doctor ko zaror dekhana chahaye. Iss ka ilaaj karana chahaye. Aap ko 20 years mein bhi mahwari nahi hori hai, to zaror koe androni garbar hai. aap foran kisi mahir doctor se mushwara par amal karay.

Question 3: mahwari kay kam silan kay liye aksar Harmon ilaaj karanay ka mushwara daiti hain. Kiya Harmon ki dawa ka naam aap bata sakain gae? Mahir doctor se mushwara lena mushkil hai. dawa naam bata kar khareed sakti hun.?

Answer 3:
 
Harmon ilaaj aik khas trah ka ilaaj hai. jissay doctor kay mushwaray aur nigarani kay baigiar nahi karaya jasakta. Kissi khareeb hospital jakar aap ko Endometrial biopsy to karana parday gae, kyun kay iss baad hi doctor sahi dawa aur ilaaj ka faisla karsakian gay. Aapnay aap ya puri janch kay baigair Harmon lena khatrnaak bhi sabit hosakta hai. agar silan ki miqdar thori kam hai. to bhi doctor se mushwara karkay hi dawa lain.

Question 4: mein 19 saala dosheeza hun. Mahwari kay waqt mujay bohat zaidah dard hota hai. Exams kay din dard honay kay baiz mein papers acha nahi kar pahi agar khabi aisa ho kay exams aur mahwari ka aik hi din par raha ho to kiya kisi trah mein exams aur mahwari ka aik hi din par raha ho to kiya kissi trah mein date taal sakti hun ya dard kam karsakti hun?

Answer 4: Agar bohat hi zarori ho to mahwari ki date ko change kiya jasakta hai, lekin aisa karnay ki umoman mamooli halaat mein hum raa-ye nahi dyte. Agar kisi khas date ko dard mein mubtala honay ka shuba hai, to mahwari ko taala jasakta hai. iss kay liyah apni doctor se mil kar munasib dawa lay sakti hain. Dard kam karnay kay liyah, dard kam karnay ki dawa doctor se puch kar lay. Mahwari se phele pait saaf rakhain. Halki ghiza lay. Pait kay nichlay hissay ko garm pani ki bottle se saak lay. Mahwari ki takleeef se jahan tak hosakay tawaja hataye. Khabi khabi dil ki khabarat se bhi dard zaidah mehsoos honay lagta hai.

Question 5: mera mahwari chakar hamesha theak theak rehta hai. takreeban aik saal bhar se aista aista mein mehsoos kar rahi hun kay mein moti hoti jari hun. Mahwari bhi bayquaida hoti jari hai. mahwari silan bhi phelay kay barakas kam hota jaraha hai. meri umar 28 years hai. iss umar mein to menopauses nahi hota hai na? log khetay hain kay mahwari silan theak trah se na honay ki wajah se tamaam mushkilaat horahi hain. Kiya yeh sach hai? mein bohat parshan hun, kia karon?

Answer 5: Aap zaidah parshan na hun. Ji, han, iss umar mein menopauses honay ka imkaan to bohat kam hai. zaidah tar mahwari chakar mein kharabi ya mahawri silan mein kami baysa dani ki karkardgae mein garbar kay baiz hosakti hai. khabi jism ka wazan jab zarorat se zaidah barnay lagta hai to iss ka bura asar jism kay calendars par hi parta hai. iss liyah mahwari mein bayquaidgae aur jism mein bhari oan mehsoos honay ki wajah se takleef hojati hai. yahnii takleef ki wajah se wazan nahi bar raha, balkay wazan ki wajah se takleefian hori hain. Mera khaayal hai, aap wazan kam karany ki koishish karay. Halka ghizaiat wala khana lay. Jasiay jaisay wazan kam hoga' aap dekhain gae kay aap takaleef azkhud hal hoti jari hain. Agar wazan kam karnay ki koishish kamyaab na ho' to doctor se mushwara lay kay wazan kyun kam nahi horaha hai.

Question 6: Meri shaadi jaldi hi honay wali hai. meray mahwari chakar ki tareeq bulkul shaadi walay din par rahi hai. kiya kisi dawa se mahwari ki tareeq ko aik haftay phelay kiya jasakta hai? iss dawa se koe naqsaan to na hoga?

Answer 6: Mahwari chakar ki tareeq kay aik haftay baad kay liye tala jasakta hai. doctor se mushwara karay. In se puch kar Harmon ki goliyan ko lagataar iss waqt tak leti rahain, jab tak aap mahwari ko rukhna chahati hain. Iss trah khabi khabi li gae goliyan naqsaan nahi pouchati. Haan! Mahwari ki tareeq ko 7-8 din se zaidah 10 din tak rukhna hi theak rahay ga. Zaidah bara kar aik month na honay dain. 

Question 7: mein 15 saala hun. Kuch din se mera mahwari silan bohat kam hogaya hai. aur mein bohat susti bhi mehsos karti hun. Dil karta hai kay har waqt laiti rehti hun. Meri dost kheti hain kay bacha dani puri trah saaf nahi ho pati hai, iss wajah se susti hai. kiya Harmon ki kisi kami kay baiz aisa hota hai? mein kiya karon?

Answer 7: Kam silan kay sath agar jism mein susti bhi hai to mumkin hai, anemia (khoon ki kami) ho. Kam silan ka matlab ye nahi hai hai kay bacha dani saaf nahi ho pa rhi hai. aap iss ka test bhar doctor se karwaye, medicak checkup karwaye. Aur in se mushwara le kar yeh test karawa lay. Anemia kay liyeh bhi khoon test karwaye. Yeh maloom honay se sahi ilaaj hosakya ga.

Question 8: kuch mahino se achanak mahwari silan ho hi nahi raha hai. meri umar 20 saala hai. mein nay koe galat kam nahi kiya hai., phir mahwari ana kyun band hogae? Tab se ankhoon kay charo traf black circles par gaye hain. Baal bhi jhar rahay hain aur andham nahni mein khujli bhi hori hai. bohat parshan hun. Koe ilaaj bataye. Mein ghizaiat se bharpur khana leti hun aur warzish bhi karti hun. 

Answer 8: Zadah mumkin hai kay Harmon mein kharabi aur iron ki kami aap ki takleef ki jar ho. Hoisakta hai kay andham nahni mein infection bhi ho. Yeh infection dhobi kay dhoye kapron se ya phir jo puri trah saaf nahi hotay, aisay pads istemaal kay baiz bhi hosakta hai. general checkup karwaye aur andham nahni mein khujli kay liyeh lady doctor se rabta kray. Harmon ki kharabi kay liyeh Harmon ilaaj karawye. Baqi ilaaj bhi baquiada toor se doctor se mushwara lanay se hojaye ga aur aap bulkul theak hojae gae. Jaldi karay, atkay mahwari chakar phir se shuru hosakay.

Question 9: meri shaadi ko do baras hogaye hain. Mahwari bay quiada rehti hai. doctor ko dekhnay par unonay kaha hai kay bacha dani bohat choti hai. kiya iss ka ilaaj hai? kiya issi wajah se mahwari. Bhi bay quida hai aur mein hamla nahi hui hun?

Answer 9: Mahwari kay bay quiada honay ki wajah hai, baysa dani ka theak se kam na karna. Bacha dani kay size ka taluq Harmon se hota hai. aap ko Harmon kay sahi tawazan se baysa dani par acha asar par jaye ga. Mahwari baquaida hosakay gae. Agar apkay tube theak halat mein hai aur husband kay mada toleed mein jarzumay zarorat kay mutabiq hain. Tu aap hamla bhi hosakain gae. Kisi mahir doctor se baray mein mushwara karay.

Question 10: Mahwari Kay waqt siyaa rung kay lotaray se atay hain. Aur pait phool jata hai. ankhoon aur sir mein dard hota hai. kiya yeh sach hai kay mahwari theak na honay kay baiz motapa bar jata hai.?aur kuch raa-ye dain.?

Answer 10: khabi khabi jism mein kisi khas gland ki karkardgae main kharabi hojati hai, to is ka asar dosray glands par bhi parta hai aur iss wajah se baysa dani par iss ka bura asar pard sakta hai. jab baysa dani theak se kam nahi karti , to mahwari bay qauida aur kam hojati hai. khabi khabi motapay hi ki wajah se jism kay glands mein tawazin qaim nahi rahta hai. agar wazan bar raha hai to phelay wazan ghatanay ki kosihish karay. Ghiza mutwazin karay aur warzish karay. Mahwari kay waqt jism mein susti' sir dard hai to aksar auratoon ko hi hojat hai. is kay liyah parshan na ho, wazan kam honay se hosakta hai, tamam takleefain azkhud hi dur hojaye.

Question 11: mein 20 saala hun, 16 sal ki umar tak mahwari baquida rahi. Iss kay baad se bay quiada hogae hai. maa nay homeopathic ilaaj karwaya tha. Lekhin iss se to aur bhi bay quiada hogae. Doctor kheti hai kay D and C karadiya jaye. Kiya yehi ilaaj rahay ga?

Answer 11: Aap nay yeh nahi lekha hai aap shadi shuda hain ya nahi. Zaidah tar ghiar shadi shuda larkion ka androni ilaaj tabhi kiya jata hai jab aur koe mutbadil nahi rahay jata. Mahwari kay bay quiada honay ki kaii wajohaat hosakti hai. mahwari ka baquiada hona glands ki karkargae par dependent hai. agar dawa se masla hal hojata hai, to theak hai, warna doctor D and C ki raa-ye daiti hain. D and C mein bohat thora sa tissues nikal kar iss ka mohiyna kiya jata hai bay quiadgae Harmon ki kharabi kay baiz hai ya kisi infection. Iss kay baad sahi ilaaj mahwari baquiada hojati hai. 

Question 12: meray teen bachay hain. Meri mahwari bulkul theak rehti thi, lekhin teesri zachgi kay baad kuch months se mahwari silan kan hota jaraha hai. iss ki kiya wajah hosakti hai ? yeh zachgi kay doran kisi bay atiyati ka nitija to nahi ? koe to nahi ? koe khatnaak baat ti nahi?

Answer 12: Zachgi kay baad mahwari silan mein kami ki teen wajohaat hosakti hain. Anemia (khoon ki kami) Harmon ka tawazan bagar jana ya koe aur infection. Agar aap bachay ko apna dhood pila rahi hain to aik who bhi aik wajah hosakti hai. apni doctor se milain aur sahi wajah maloom karlay. Wajah maloom hojanay par iss ka sahi ilaaj hojaye ga. Yeh takleef kisi khatrnaak bemari ka ishara nahi hai, bay fikar rahain.

Breast Problems In Urdu and hindi

Question 1: My breast size decreases after child birth 
Phehly bachay ke pedaish kay bad he pistanoon mein kuch dhela pan aagea tha. Ab dosrey bache kay bad mein mehsus kar rahi  hoon keh aik pistaan chotha hogaya hai. Bari ghabrahat horahe hai. Yeh kesi marz ke illamaat to nahi?

Answer 1: Aap pareshan nah hoon ,aksar auratay bachey ko dodh pelatey waqt aik hi pastan ka ziadah iatamal karti hein , jes sey uss pastan ka size kuch bara hojata hai, aur dosra pastan kuch chota malume honey lagta hai. Iss bath ka kheal rakhtey hoey dono pastanoon sey barabar dodh pelana chahey . nahiyeh kesi bhi marz ke ilaamaat nahi hai. Bachey ko dodh pelana jab bandh ho jae to pastanoon mein kara pan laney ke werzishey  karey . Thorey dinoon mein dono pastan barabar honey lagey gey. 

Question 2: My breast is still in small sizeMere umar 20 saal hai. Mein yoo to bilkul tandurust ho liken mare chatyoon ka ubhar thek tara sey nahi howa hai. Iss waja sey ahsas kamtare mein mubtala rehti hoon. Iss kay elawa marey badan par bal bvhi kafe hain. Kaya mujhey harmoon ilaaj ke zarorat hai? Keya harmoon ilaaj sey chateoon ka ubhar barhaya jasakta hai?

Answer 2: Ji nahi aap kay sawal sey to essa nahi lagta keh aap ko harmoon ilaaj ke zarorat hai. Harmoon ilaaj chatoon ka ubhar nahi barhayah jasakta . Kisi kisi larke larke kay jism par bal ziadah hojatey hai. Harmoon ilaaj sey jism kay bal bhi ghaib nahi hongey . Apne pareshani door karney kay lea aap kesi achi lady doctor sey mashwarah leain . Chatoon ke khubsurti kay liyeh khaas warzeshein hoti hai, inhey karey aur balloon kay lea maher beautician sey mashwarah karey. 

Question 3: Discharge from nipples before marriageMere shadi thaey hogai hai, liken mein pareshan hoon . Merey pastanoon kay dono napeloon mein sey har waqt eik lasdar mawad sa nekaltah hai. Mein ghar walo sey bhi iss kay mutaliq kuch nahi keh pati hoon . Koi ilaaj bataye .

Answer 3: Behan sahi ilaaj kay lea to aap ko doctor ko dekhana hoga. Iss tarah kay silaan ko jab tak dekha nahi jaye , tab tak uss ke waja mutiaian karna bohat mushkil hota hai. Jism kay kisi bhi hisey mein taklef ho sakti hai. Aap der nah karey foran doctor ko dekhaye.

Question 4: Pain and discharge from my breastMere aik mushkil hai, jis ko lekhtey hoe Jhijakh rahi hoon. Merey pastanoon  mein bhare pan aur dard rahte hai. Napil mein sey yasdar mawad nikalta hai. Keya yeh kisi khatarnak bebari ke ilaamaat hein?

Answer 4: Ji nahi aap bohat pareshan nah hoon . Lasdar sa discharge kio hota hai, Yeh malum karney kay lea khoon ke chanch " prola katen level" malum karney kay lea karwaeon . Uss kay bad hi sahe ilaaj hosakey ga.

Question 5: My breast is fully developed at age 15Mere umar pandrah baras hai. Mein kafi dubli patli hoon aur lambi bhi. 
Sirf mere chatyaan bohat bhare hai. Iss sey mujhey bohat sharam aati hai aur  meinfikar mand rehti hoon wesey mahware mujhey thekh waqt par hoti hai. Liken sirf teen din hoti hai, kuch log khahtey hai keh jin logoon ko khool kar mahware nahi hoti iss mein bhare pan aajata hai keya iss waja se mere chateaan bhare hai? Keya harmoon ilaaj sey mujhey faeda hosaka hai? Koi mashwara dein. 

Answer 5: Aap itni preshan mat ho kuch larkio ko teen din mein hi mahware khatam hojati hai agar mahwari baqaeda hai to koi fikar ki baat nahi chatyoon ka bhari pan hona mahwari chakkar par munhaser nahi aur harmoon ilaaj kay zariye iss mein tabdeele nahi lai jasakti pastanoon ke banawat mein "oedipus tissue" aur "glandular tissue" hotey hai , jin par thora asar warzish ka bhi hota hai iss kay elawa plastic surgery hi chateoon ko bara aur chotha karsakti hai liken aap ke umar mein uss ke raey nahi donge  kesi maher beautician se uss kay mutaliq warzish puch lein.

Question 6: My both breasts are unequal in sizeMere umar 21 saal hai, mere eik saal ke beti hai , beti ke pedaish  kay bad mera aik pastan bara aur dosra pastan chota hogea hai beti abhi mera dodh peti hai merey ser kay bal kafi jhar rahey hai koi dawa bataein jis sey pastan pheley ke tara barabar ho jaein  aur balloon ka jharna bhi ruk jaey ?

Answer 6: Pastanoon kay chotey barey honey ka bal jharney sey koi talluq nahi beti abhi dodh perahe hai iss lea pastanoon mein koi tabdeli nahi aae ge dono pastanoon sey dodh pelaein jo pastan chota hai is se ziadah plaein jab aap dosri bar hamlah honge to yee maslah khud bakhud hal hojaega . Bal charhney sey rokney kay lea aap green  sabzeyaan  khaein aur dodh pein. Zang aameza capsule jasey, geoait, buzak, zaknol waghara mein sey koi eik capsule rozana 2 mah lein. 

Question 7: Pain and swelling in my breastMere umar 30 saal hai guzashta 5,6 mah sey merey pastan mein ganth hogai hai jo choney mein dard karte hai. Mahwari se phehley aur kabhi kabhi darmean kay dino mein ziada phool jati hai aur dard hota iss waja sey mein bohat tanaoo mein hoon baraey mehrbani koi ilaaj batay ?

Answer 7: Aap kay sawal sey yeh malume hota hai keh aap ko "fairwednomast" hai. Aap kesi Surgeon ko dekhaein, needle operation kay zariye uss ganth ka muana karey gey . Wesey hosakta hai, dawa sey yeh thek hojaeg agar surgeon operation ka mashwara detey hai to aap operation kay zariey yeh ganth nekalwalein, prashan honey ke zarorat nahi. 


Question 8: Pain In Breast In HindiMere umar 23 saal hai. Merey 5.6 mah sey merey pastan mein ganth hogae hai. Jo choney par dard karti hai. Mahvari sey phealey aur kabhi kabhi darmian kay denoon mein ye yeh ziadah phole jati hai, aur dard hota hai . Uss waja sey mein bohat pareshan hoon please koi ilaaj bata?

Answer 8: Aap kay sawal sey malume hota hai , Aap ko Fibroadenoma Breast hai. Aap kese surgeon ko dekhaein jo Needles By Posey Operation zariye uss ganth ka muaena kareyin gey. Wesey ho sakta hai. Dawa sey yeh thekh ho jaey aur agar surgeon operation karwaney ka mashwara detey hein to aap operation kay zariye yeh ganth zarore nekalwaley , preshan honey ke zarorat nahi.

Question 9: Breast Size Difference In HindiMere umar 28 saal hai. Merey 2 batey hai. Bare batey ney mera dodh kuch he din peya , dosra beta 1.5 saal ka hai, lekin abhi tak mera dodh peta hai, merey dono pastanoon me kafi ferq agea hai. Right side wala pastan bohat chota hogea hai. Mera wazan bhi bohat kam hogea hai. Koi ilaaj bataein . jissey right side walapastan normal hogay .

Answer 9: Aap apney bache ko dodh pelana bandh kardey . 6 mah bad sey bache ko upar ka dodh aur ghaza dena shoro kardena chaeye. Aap dodh heigh Protein deid sey apn wazan baraney ki koshesh karey. Aap ka wazan bohat kam hai, iss lea warzesh sey koi faida nahi hoga kamaz kam 10 kilo aap ko barhana chaeye.

Question 10: Breast Feeding Problem In Hindi
Mera chota bacha 4 mah ka tha keh tab mein dosri bar hamleh hogae jaldi hi mein dodh pelana bandh kartey hi dodh khushk hogea lekin dosra bacha 10 mah ka honey par dodh bandh karney par khushk nah howa aur bohat dard honey laga to doctor ney dodh bandh karney kay lea injection lagaey liken iss mein merey pastan achanak sukarh kar such gaey . Mehrbari kar kay koi bataein jis sey mere ahsas kamtare door ho.

Answer 10: Pastanoon kay lea irtaqa kay lea koi khas dawa nahi aap quwat bakhsh dawa lein. Jis mein mere proten ke meqdar ziadah ho chonkey aap kay dono bachey jalde hogae iss lea jismani kamzore aagae . Jasey jasey aap sehat mand hoon ge aap kay pastan barhney lagey gey wesey dodh khushk karney wali soe sey pastan nahisukhtey .

Abortion Problems in Urdu And Hindi

Abortion | Asqaat HamalAurat kay pait mein se muddat se pehlay bache ka raham se nikal jana abortion kahlata hai. Kai dafa aurat khood apni marzi se asqaat hamal karwati hai. Pehlay teen mah tak barha khatra hota hai.

Causes | Asbaab 
Is marz kay kayi asbaab ho saktay hain. Baaz awqat mareezah buhat kamzor ho jati hai aur hamal khood hi gir jata hai. Kayi dafa aurat kisi gunah ko chopane ki garz se asqaat hamal karwati hai. Baaz aoqaat mareeza ki jaan bachane kay liye hamal giraya jata hai.

Kayi aik beemaryan jaise aatishik, pechish, tip diq, dard gurdah aur larzay kay bukhar se hamal girjata hai. Kasrat mehnat se bhi hamal gir jata hai. Achanak kisi shaded zahni dhachkay se bhi asqaat hamal ho jata hai jiniyan aur jhillion ki kamzori waghairah bhi asqaat hamal ka sabab banti hai.

Clinical Features | Alaamat 
Mareeza kay jism mein thakawat aur dard hota hai. Tabiyat sust hojati hai kamar mein dard hota hai matli aur qai aati hai mareeza ko bukhar ho jata hai, raham mein khoon bahna shoro ho jata hai. Aisi halat mien mareeza buhat ghabrahut mahsoos karti hai.

Treatment | Ilaaj 
Mareeza ko dawayi ki bajaye ehteyati tadabeer ki zaroorat hoti hai ise hamal thahernay kay baad ziada mahnat wala kaam nahi karna chahiye. Mubashrat tark kadeni chahiye. Ziada garam ahsya nah khaye. Koyi dawai istamaal nah ki jaye jis se ghabrahat paida ho.Agar mareeza kisi jaan lewa beemari mien mubtiala ho jaye to bazaryah operation asqaat hamal kardena chahiye takeh jaan bach jaye.

Diet | Ghiza 
Mareeza ko zod hazam aur qowat bakhsh ghiza deni chahiye gaye ka gosht, daal masoor waghaira nahi khani chahiye.

Question 1: Mujhe bar bar abortion ho raha hai. Mein kiya karoo'n?
Meri shaadi ko teen saal hogaye hain. Teen saal kay baad hamla huwi to 6 months baad hi achanak teez khoon discharge hwua aur doctor kay atay atay bacha fot hogaya jaisay doctor ne nikala. Iss kay baad phir hamla huwi ab ki dafa 6 months baad haml phir gir gaya. Mein bohat dar gae hun kiya karon?

Answer 1: Phelay haml kay baad aap ko aur aap kay husband ko aapna checkup karwalana chahaye tha. Ab diar na karay apni aur apnay khawind ki khoon ki janch karawaye. Aap ko androni mohiyna ki zarorat hai. Harmon kay level ka checkup bhi zarori karwaye. Iss malomaat kay baad mushkil kay baray mein maloom hojaye ga, to mukamal aram karay. Yahnii bed rest karay. Doctor se puchay kay aap ko "Circular stage" ki zarorat to nahi hai. umeed hai phir aap tandurust sehat mand bachay hi paida karsakian gae.

Question 2: Mai ghair shadi shuda pregnant hoo. Kaisey abortion karaoon?Mein 20 saala khawari larki hun, mujay 1 ½ months ka haml hai, mein gar walon se yeh baat chupana chahati hun, iss liyeh doctor se abortion nahi karwasakti. Baraye marbani koe aisi dawa bataye jis se mujay chutkara mil jaye, meri madad karay?

Answer 2: Agar aap hamla hogae hain to kisi qism ki dawa na le, kisi dawa se haml khutanm nahi hota hai. in dawaion se jigar aur gurdon ko naqsaan pouch sakta hai. puri trah se disposal na honay par Septic hosaktic hai. aap kay liyah munasib  hoga keh kisi hamdard raazdar dost kau sath sarkari hospital kay khandani munsuba bandi kay shuba mein jakar lady doctor se MTP karwalay.

Question 3: Mera hamal bar bar zaye ho jaata hai. Mein kiya karoo'n?
Meri shaadi ko char saal hochukay hain, teen saal tak hum bacha nahi chahatay thay. Iss liyeh kuch din mane haml ki goliyan aur kuch din condemn istemaal kiya iss kay baad mein hamla hwui to lekhin kuch din haml rehnay kay baad isqaat hojata hai. shaadi kay phelay saal hi Abortion karwaya tha yeh issi ka nitija to nahi bar bar hamla hoti hun aur bar bar na umeed hojati hun. Hum ne khoon bhi test karaliya hai, iss mein koe kharabi nahi hai. mein kia karon?

Answer 3: Bar bar isqaat haml ki kaii wajohaat hoskati hai. Abortion huway to kafi din hogaye hain. Iss liyeh parshan na ho, lagta hai kay bacha dani ki kamzoori iss mislay ki jar hai. meri raa-ye hai keh kisi bohat mahir lady doctor ko aap dikhayain. Koe bohat fikar ki baat nahi hai, hamla honay mein jaldi na karay. Phelay apni sehat ko theak karlay, test karalay, agar bacha dani ka muhn chota hai to iss kay muhn mein taka laga dain, zachgi kay waqt yeh taka nikal dia jaye ga, doctor ki raa-ye kay mutabiq mukamal aram bhi karna chahaye, dosri wajah Harmon se mutaliq kharabi bhi hosakti hai. yeh donu mushkilaat dur hosakti hain. Iss liyeh aap mayoos na ho mujay puri umeed hai keh aap aik sehat mand bachay ki maa zaror banay gae.

Question 4: Mujhe laga-taat teen baar abortion ho chuka hai. Iss ki kya wajah hai?
Shaadi kay baad hi mein haml hogae. Lekin 1 ½ month kay baad isqaat haml hogya. Kuch mah kay baad phir hamla huwi lekin phir dobara wohi huwa. Aik baras kay baad jab teesri bar hamla hwui to phir doctor ne aram karnay ka mushwara diya. Teesray month phir isqaat haml hogaya. Meri aik dost ka kehna hai keh aisa meray khawanind ki kisi nadroni kharabi ki wajah se horaha hai kia yeh mumkin hai?

Answer 4: Ji nahi yeh koe zarori nahi hai, keh aisa khawanind ki kisi kharabi ki wajah se ho. Aap apna mukamal nadrni checkuop karwaye. Khawanind iss trah kay isqaat haml aky liye iss halat mein zimaydar hota hai jab keh "Chromosome" mein kharabi ho. Jab chromosome tandurust halat mein nahi hotay. Tab genuine mein kharabi reh jati hai aur qudrat azkhud iss kharab genuine ko jism se bhar kardiati hai, bhetar hoga aap donu apna mukamal mohiyna karwaye

Question 5: Chaar saal mai do baar hamal zaye hua. mein kya karoon?Meri shaadi ko char baras guzar chukay hain. Dobara hamla huwi, lekhin donu bar isqaat haml hogaya doctor se checkup karanay par honay ne kaha keh bacha dani ka size lambhai noma hogaya hai. yahnii opper se chora aur nechay se putla hai. Tab se mein bohat mayoos hun. Kiya is ka koe ilaaj nahi? Kiya mein khabi maa nahi ban paon gae?

Answer 5: Aap bhan mayoos na nah on. Aap ne bacha dani kay jis size kay baray mein bataya hai. iss size ki bhi bacha dani honay par bhi auratain hamla hoti hain aur tandurust bacha piada karti hai. Haan' yeh zaror sach hai kay iss trah ki bacha dani mein isqaat haml ka khatra bhar jata hai. waisay iss kay liye khaas ilaaj bhi muser hai aur operation se bhi size ko theak kiya jasakta hai lekhin operation tab hi kiya jata hai jab koe chara na rahay jaye. Ab ki aap jab hamla ho, to shuru se hi doctor se raabta karay. Agar doctor samjti hai kay bacha dani mein dheela pan hai to teesra month hotay hi wahan aik taaka laga dyna hoga' jissay zachgi dard shuru hotay hi khul diya jaye ga. Kisi baray hospital mein kisi mahir doctor se raabta karain.

Question 6: Kiya mein hamla hoo?Ghuzshta saal hamla hotay hi mujay maloom hogaya tha aur maloom honay kay kuch hi dinu mein mein ne Abortion karlayia. Iss kay baad mahwari silan bulkul kam hogaya. Mein ne phir jab doctor ko dekhaya to unonay dobara peeshab ka test kiya takay maloom ho keh haml to nahi hai. test se maloom huwa keh hamla nahi hun. Tab doctor ne dawa di. Iss se mahwari silan to huwa lekhin bohat dard kay sath aur silan kay sath lotaray aur jhili bhi nikli. Kiya mein hamla thi? Agar Haan' to test main kyun nahi maloom huwa? Mein aur meray husband baquaida mane haml zaraaye ka istemaal karay thay?

Answer 6: Aap kay sawal to aisa hi maloom hota hai keh aap ka isqaat haml huwa tha. Khabi khabi jab haml main "Date foists" hota hai. to test mein hamla honay ka sabut nahi mil pa'ta hai. aap khud ko ilzaam na dain. Mumkin hai yeh khud yahnii aap kay dawa khanay baigair bhi bachay ki surat na le pa'ta. Aap dobara doctor se checkup karalay aur apni sehat phelay puri trah thik karkay hi bachay kay sochain. 

Leucorrhea Treatment In Urdu Language

Question 1: Mujhe leucorrhoea ki shikayat hai. mein kya karoon?
Shaadi se phelay mein bulkul thik thi lekin shadi kay baad mujay Leucrrohea ki shikayaat hogae hai aur pait kay nichlay hissay mein dard rehta hai, mein ki karon?

Answer 1: Shahid aap ko androni Pelvic infection hogaya hai, iska ilaaj Antibiotics se hosakta hai aur bar bar aisa na iss kay liyeh apna khawind ka checkup karwaye to acha hai apnay poshida uzaha ki safai ki taraf diyan dain, ganday kaparay aur pads istemaal na karay aur bath room mein bhi saaf pani istemaal karay.

Question 2: Mujhe les-dar mawad discharge hota rehta hai. kiya karoon?
Mein aik gair shaadi shuda larki hun, saal bhar se aik las dar sa mawad discharge horaha hai, iss se bari prashani hoti hai. Doctor ne phelay to antibiotic goliyan di, phir iss kay bad jab discharge khutam nahi huwa to yeh keh dia kay bacha dani mein zakhum hai tab se mein bohat fikar mand hun, mujay cancer to nahi? Kiya mukamal androni test kau bagair bata sakti hain kay bacha dani kay muhn par zukham hai?

Answer 2: Ji, nahi mukamal test kay bagair yeh batana mushkil hai keh bacha dani kay muhn par koe zakhum hai. umoman yeh masla shaadi shuda auraton ko parsahn karta hai aap ziadah parshan mat ho, aap ko cancer ki ilaamat nahi hain. Filal miraz masalay wala khana chorday aur aik month "liocol" ki goliyan le kar dekhian mujay puri umeed hai keh aap fiada hoga.

Question 3: Mujhe 10 years se anday ki safaidi jaisa les-dar mad'da discharge hota hai. Mujhe shaadi ke baad koi pareshani tu nahi hogi?
Meri umar 25 baras hai. mujay takreeban dus baras se Leucorrhea ki shikayaat hai phelay main ne koe khas tawaja nahi di. Lekin ab mein bohat parshan hun' mahwari kay do teen kay baad anday ki safiadi jaisa las dar mada discharge hota hai. jo khabi khabi 20 se 25 dino tak rehta hai. iss se mujay zehni parshani hoti hai. aap mujay mushwara dain. Mujay shaadi kay baad koe parsahni to nahi hogae.

Answer 3:
 Agar andham nahni se safiad mawad ka ikhraj ho ya lekhin kharish ya badboo to yeh akhraj koe bemari nahi. Mahwari se do teen din phelay ya mahwari kay teen din tak aur mahwari kay doran kay dino mein safiad las dar ka ikhraj hosakta hai, yeh qudrati hai aap parshan mat ho.

Question 4: Mujhe leucorrhoea ki shikayat ho gayee hai.
Mein aik Talba hun, mujay Leucrrohea ki shikayaat hogae hai. aap kay mushwaray kay mutabiq mein saafahi par kafi tawaja hun, phelay sab theak thi. Aap baraye marbani yeh bataye keh "cardial" khanwari larkiyaan le sakti hain?

Answer 4: ji haan, "cardial" khanwari larkiyan bhi le sakti hain, aap do teen mahinay cardial lain, aur apni saafahi par tawaja dain. Bhetar hai keh kisi lady doctor se mushwara karain.

Question 5: Meri naaf se safaid mawad nikalta hai. kya yeh leucorrhoea ki wajah se hai?Mein satrah baras ki talba hun, teen saal se leucorrhea mein mutbla hun, meri naaf se bhi safaid mawad se nikalta hai yeh bhi leucorrhea ki wajah se hai? iss wajah se bohat chirchiri hogae hun, meri kamar mein dard rehta hai kiya mein theak hojaogae?

Answer 5: Leucorrhea nojawani mein hona aam baat hai iss khabrana nahi chahaye, agar kharish ho to mahir lady doctor se rabta qaim karain, khub pani piyain, pait saaf rakhain. Kyun keh qabz mein leucorrhea ki shikayaat ziadah hoti hai. logon ka leucorrhea kay baray bohat galat khayaal hai keh iss se kamzoori hoti hai kamar mein dard rehta hai, to kisi doctor ko dekhaye aap ki naaf se safiad mawad nikalta hai iss ka leucorrhea se koe taluq nahi naaf ko detol se saaf karain yeh khud ba khud theak hojaye ga. 


Leucorrhea aisi halat ko kehtay hain jis mein andham nahni se safaid ratubat ya pani jo keh badboo dar ya bay boo hosakta hai. Khraaj hota rehta hai. yeh aik ilaamaat hai na keh bemari bohat si aisi bemariyan hain. Keh leucorrhea ka baiz banti hain.

Asbab:
Jo bemariyan leucorrhea ka sabab banti hain, who darj zahil hain:
1.    Raham kay sozish
2.    Sozak
3.    Khoon ki kami
4.    T.B
5.    Andham nahni ki sozish
6.    Kasrat jamaa
Yeh bemariyaan Leucorrhea ka sabab hosaktay hain.

Leucorrhea Ki Ilaamaat 
Yeh qaabil zikar hai keh aam halaat bhi andahm nahni se ratubat khiraaj hoti rehti hai aur kuch muksus hallat mein yeh ratubat ziadah bhi hojati hai. masaal kay toor par mahwari kay dinu mein ya haml mein lekhin leucorrhea mein yehi rutubat bohat ziadah miqdar mein bhana shuru hojati hai. agar leucorrhea ya khoon ki kami ki wajah se to rutubat patli aur bay boo hoti hai. agar iss ratubat mein infection hojaye to yehi ratubat ghari hojati hai aur iss mein se boo aana bhi shuru hojati hai. aik aur halta jissay aam toor par leucorrhea ya samja jata hai. who yeh hai keh baaz okat sozak mein ya birth control kay liyeh cheezain mustiqal rakhi jaye to mareez ko har aik ratubat ati hai. issay leucorrhea nahi kehtay. Jab leucorrhea ki shikayaat bohat arsay tak rahay to phir sharmagah kay andr mahool teezabi nahi rehta aur teezabi mahool jarasiumo ko marnay kay liyeh zaroori hota hia. Iss liyeh leucorrhea kay mareezon ko raham ya andham nahni ki infection bhi hojati hai.

Leucorrhea Ka Ilaaj
Iss ilaamaat ka ilaaj darasal iss bemari ka ilaaj hai jo issay paida karahi hai. agar sozak ki wajah se leucorrhea horaha hai. to iss kay ilaaj se leucorrhea khutam hojaye ga. Agar khoon ki kami ki wajah se hai to khoon ki kami ka ilaaj karain. Agar koe infection hai to iss infection ka ilaaj karain.

Pregnancy In Urdu And Hindi

Question 1: Hamal ke mahina ka hisab lagane ka tareeqa kiya hai?Meri shaadi hoye aik baras ho gia hai. Ab mein haamlah hon. Doctor kay kehnay kay mutabiq mujhay mahinay ka hamal hai, jabkeh meray hisaab say teen hi mahinay lagtay hain. baraye maherbaani batayain keh hamal kay pooray mahinay ka hisaab laganay ka tareeqah kia hai?

Answer 1: Agar aap ko apnay maahwari chakkar ki tareekhain thik say yaad hain, to koyi mushkil nahi honi chahiye. Guzashta pehlay din say mahinay ginna shoro kia jata hai. yani jis tareekh ko aap ko mahwari aana thi, agar iss per nahi aayi to samajhna chahiye keh istaqrar hamal hoye aik ma how chukka hai. iss tarah no mahinay ka hisaab lagaya jata hai aur phir iss mein saat din shamil kar diye jatay hain. saat din shamil karnay kay baad jo tareekh aati hai, isay zachgi ka din tasleem kia jata hai. zachgi ka din moqarrar karna kisi kay liye bhi mushkil hai kiun keh tareekh kay aagay peechay hona maamuli baat hai. 

Question 2: Beta paida kerne ka tareeqaMain nay kayi akhbaaron rasalon mein parha hai keh kisi khaas waqt aur khaas tareeqay say agar miyan biwi mubaashrat karain to beta zaroor paida hota hai. Kia in baaton mein waqai koyi sachaayi hai?

Answer 2: Ji han. log iss qisam kay tajurbaat to kar rahe hain aur dawa bhi kartay hain keh in kay tajurbaat kafi had tak kaamyab hoye hain. lekin jahan tak ham doctors ki maaloomaat hain, hum beta ya beti hona mahaz aik qismat hi tasleem kartay hain. Iss qismat ko kisi amal say baandha nahi ja sakta. beti ho ya beta, ahum yeh hai keh bacha sehat mand hona chahiye.

Question 3: Mera dil pareshan rehta haiMeri umer 25 saal hai. Main peli dafa hamlah hoyi hon. maaloom nahi, kiun mujhay jitna khush hona chahiye, mein nahi ho pati hon. Har waqt dil pareshaan sa rahta hai. halka halka dard pait mein rahta hai, likin qai nahi aati . Jisam kamzore  aur sust sa lagta hai. kia aisa sab kay sath hota hai? Kia pooray no mahinay meri tabiyat aisi hi rahay gi?

Answer 3: Aap bilkul fikar na karain. Hamal kay shoro kay dinon mein kuch auraton ko bilkul aisa hi lagra hai, jaisa keh aap ko lag raha hai. Jism mein hoti tabdeeli ki aadat jism ko aahistah aahista parhti hai. aap dakhain gi keh teesray mahinay kay baad say aap ki tabiyat khood ba khood thik ho jaye gi. dard kay liye baaqaidah doctor say mashwarah leti rahain. per umeed bani rahin, koyi fikar ki baat nahi. 

Question 4: Pehli baar hamla ko kia ehtiat kerni chahiye?Main peli baar hamlah hoyi hon. Mujhay kia ahtiaat karni chahiye? zachgi say pehlay aur baad mein mubaashrat kab noqsaan dah ho sakti hai?

Answer 4: Ssab say pehli baat to yeh hai keh apna check up baaqaidah karwati rahain. khana ghizayat say bharpoor lain, bhari na lain. doodh aur dhoodh say bani chizain lain. hari sabziyan, phal baqaidah tor say lain. zahni tanao say door rahain aur aaram bhi karain. ghar ka kaam barabar  karti rahain, lekin itna hi jatna aap ki doctor kahe. baaqaidah tor par shaam ko tahelnay jayein. Mubashrat bilkul mana to nahi , lekin zachgi say pehlay teen mahinay aur zachgi kay aakhri teen mahinay mubashrat na hi karain to acha ho ga. zachgi kay baad khoon ka selaan band ho jaye to mubashrat mumkin hai. 

Question 5: Mein jald pregnant hona nahi chahti.Hamaray shaadi ko kuch hi din hoye hain. hum jald hi bacha nahi chahtay. aap baraye meharbani yeh batayain keh mahinay mein kon say din "mahfoze" samajhay jatay hain aur kon say "Khatray" kay hotay hain.

Answer 5: Amooman " Mahfooz din" yani wo din, jab hamal theharnay ka imkaan nahi hota. mahwari kay pelay din say aath din, aur mahwari ki tareekh say pehlay aath din tasleem kiye jatay hain. lekin yeh in auraton kay liye sahi hai, jinhain har 28 din par mahwari shoro hoti hai. be qaidah mahwari chakkar ho to "Mahfooz" dinon ka maalom karna mushkil hota hai. mahwari shoro honay ki tareekh say choda din pehlay "oviation" ho ta hai aur isi waqt hamal theharnay ka imkaan hota hai.

Question 6: Hamal aur shohar se jismani taluqkia hamal thehartay hi khawand say jismaani taaluq per pabandi laga deni chhiye. aap iss baray mein kia raye deti hain?

Answer 6: Hamla honay par khaas kar agar pehli bar hamla ho rahi hain, to har tarah ki ahtiyat karna acha hota hai. sab say pehlay apni doctor say mashwarah karain. agar sab kuch normal ho to zindagi bhi normal tareeqay say chal sakti hai. miaan biwi ko jismaani taalluq par poori tarah pabandi to nahi lagana chahiye. lekin han, ahtiyat karna zaroori hai. khaas kar pehlay teen mahinon aur aakhir kay do mahinon main acha ho agar aap apni doctor say bhi iss baray mein khul kar baat kar lain.

Question 7: Hamal aur Blood PressureMain 27 salah shaadi shudah hon. hamlah honay kay do mahinay kay andar andar mera blood pressure barhnay laga. bohat si dawaiyan lain aur khanay par control rakha. phir bhi pooray no mahinay blood pressure high hi raha. meray pooray jism par sojan rahi, aur zachgi bhi takleef do rahi. bach bohat hi kamzoor paida howa aura b chatiyon mein doodh bhi nahi utarraha hai. bachay kay bhi chati say doodh peenay ki taqat nahi rahi ahi. kia yeh sab blood pressure kay liye khayi  gayi dawaiyon kay bais to nahin ho raha hai? main kia karon? aayindah kay liye kia ahtiayaat karon?

Answer 7: Hamlah honay par blood pressure ka ghair maamoli tor say barhay rahna bohat hi khatarnaak baat hai. yahan tak keh iss tarah bachay ya maan ki jaan bhi ja sakti hai. bachay ka itna kamzore honay ki bhi yahi wajah hai. chatiyon mein doodh matloobah moqdaar mein nahi aaraha hai. yeh maslah high blood pressure ki wajah say nahi hai. yeh aik qudrati maslah hai. iss ka fikar na karain. bachay ko dabbay ka doodh doctor say mashwarah lay kar ahtiat say dain. aayindah kay liye yahi kaha ja sakta hai keh pelay mahinay say hi doctor say mashwarah leti rahain, in ki hidaayat ki poori tarah say pabandi karain.

Question 8: Mera bachcha kamzor paida hua aur phir fout ho gaya.shaadi kay aik saal baad main hamlah hoyi. pooray 9 mahinay main doctor ko dekhati rahi, phir bhi zachgi kay waqt bacha ulata ho gia aur barhi mushkil say "saurian" kay zareeya  paida howa. bachah itna kamzor tha keh das din kay baad hi is ski wafat ho gayi. aisa kiun howa? kia aayindha bhi aisa ho sakta hai? main kia karon, jis say aayindah sahat mand bacah paida ho? bohat hi mayoos ho gayi hon.

Answer 8: Main aap ka dard  ka dard samajh gayi hon, lekin iss tarah mayoos nah on. bacha kay etnay kamzor honay ki kayi wajohaat ho sakti hain. Bachay tak matlooba moqdaar main ghiza ka na pohanch pana ya maan kafi din high blood pressure mein mubtila rehna ya phir "Plastain" main kamzori hona. kabhi kabhi "chromosomes" mein kharabi honay ki wajoohaat bhi bachay par bura asar daalti hain. in wajoohat ko tojah mein rakhtay hain apni doctor ya phir kisi doosri mahir doctor say mashwarah lain aur dobarah in hi baton ko towajah main rakh kar moyainah karayain. iss tarah yeh maaloom ho sakay ga, keh bacha itna kamzor kiun tha? wajah maaloom honay say agli baar aap muhtat rah sakti hain. aur doctor ki raye kay mutabiq amal kar kay aik tandurust bachay ko paida karain gi.

Question 9: Hamal ke alamaatMeri shaadi kuch hi mahinay pehlay hoyi hai. Mujhay abhi kuch din hoye maaloom howa hai keh main hamlah hon. waisay main tandurst hon aur hameesha rahi hon. lekin aik mahinay say jism ko totna, chakkar aana, bhook na lagna, sar bhari rahna. saray jism main aik susti ka bana rahna waghairah say pareshaan hon. kia aisa har hamlah aurat kay sath hota hai? mujhay koyi bimaari to nahi?

Answer 9: Aap kay khat say aisa to nahi lagta keh aap ki elaamaat kisi bimaari ki alaamaat hain. istaqrar hamal kay ibtedaayi dinon mein kabhi kabhi aiksi halat ho jati hai. jaisay jaisay jism istaqrar hamal ki tabdeeliyon ka aadi ho ga, waisay hi susti, jism ka tootna waghairah takleef kam hoti jayain gi. yeh takleef amooman har aurat ko thori bohat hoti hain. maaloom hota hai keh zachgi ka khof aur apnay baray pareshaani aap ki sehat par asar andaaz ho rahi  hai. mustabil kay baray par umeed rahain. quwat bakhsh ghiza lain aur check up baqaidagi say karati rahain.

Question 10: Hamal aur WarzishMeri shaadi hoye do baras hoye hain. kuch hi din pahlay maaloom howa hai keh main hamlah hon. main nay kahin parha hai keh hamlah honay par bhi thori bohat warzish kartay rahna chahiye. iss say zachgi kay waqt ziadah dard aur pechidgian nahi hoti hain. kia ye sach hai?mujhay kis tarah ki warzishain karni chahiye? 

Answer 10: Yeh aap ka pehla moqa hai. jitni ahtiaat ki jaye, utna hi acha hai. apni doctor ki raye la lain. Agar sab kuch normal tareeqay say chal raha hai, to halki phulki warzish karna bhi mufeed ho ga. warzish kay liye bas tehalna breathing exercises aur maamoli ghar ka kaam hi kafi rahe ga. koyi bhi bhari aur  thakawat danay wala kaam na karain. zachgi kay baad aap warzish karain, takeh jism mein chusti phurti rahay. doctor say baaqaida check up karati rahain. 


Signs Of PregnancyIstaqrar hamal hone per aurat mein mandarjah zeel tabdeelyan ya alaamat zahir hoti hain.
1-    Haiz Ka Rukjana    
istaqraar hamal kay waqt aurat ko haiz yani mahwari aana band ho jati hai yeh barhi alaamat hai, baaz auraton ko pehlay teen mah mein thorha buhat aata hai, aur baaz ko sirf aik mah band honay kay baad phir shoro ho jata hai, lekin yeh haqiqat hai keh aik dafa haiz band zaroor hota hai.
2-Matli Aur Qai Aana
Hamal thahernay kay teen chaar haftay baad hamlah aurat ki tabiyat mein susti aajati hai, gi matlane lagta hai, subha kay waqt khansi aati hai, aur qai bhi aanay lagti hai, yeh halat 14-15 haftay rahti hai. Lekin baaz auraton ko bachah jantay tak yahi halat rahti hai.
3-Pastanon Ki Tabdeli
Istaqrar hamal kay baad hamla ki pastanon mein numaya tabdili aati hai.
Chati barhnay lag jati hai. Pastaanon kay ird gird kalay rung kay dairay ban jatay hain pastanon mein doodh aanay lagta hai yeh khaas alaamat hai keh aurat hamlah hai. Hamla kay cheray per siyahyan phail jati hain.
4-Andaam Nehani Ki Halat
Andaam nehani se sufaid rung ki ratoobat nikalnay lagti hai. Raham ki jisamat pahlay say barhi ho jaati hai istaqrar hamal say pahlay is ka size
 2 ½ inch hota hai aur wazan ½ pao ho jata hai. Raham barhtay barhtay aathwain mahinay mien naaf say oper aajata hai. Naween mahinay mien shikam tak aajata hai. 
5- Shikam Ki Halat
Istaqrar hamal kay chatay mahinay mein shikam ki deewar oper ko uthti hai. Is mein tanaao aajata hai. Shikam ki deewar per zardi maa'l lakeerain numayan hoti hain.
6- Jinion Ki Harkat
Bachay ki paidaaish jinion kay barhnay say hoti hai, yeh hamlah kay pait mien parwarish patay hain jinion 16-20 hafton mien harkat kanay lagta hai is ki harkat maa'n kay pait per haath say mahsoos ki jasakti hai.
7- Thook Aur Peeshab
Hamlah kay monh say bar bar thook aata hai munh pani say bhar jata hai, is kay sath sath isay peeshab kasrat say aur bar bar aanay lagta hai, hamla ki tabiyat bhojhal si mahsoos hoti hai, isay thakan aur  thakawat rahnay lagti hai.

Ectopic Pregnancy

Is halut mien bacha uterus ki cavity ki bajaye kisi aur jagah ya ovary mein growth karta hai. Jabkeh normal halut mein aurat ka fertilize andaa uterus  ki cavity mein moqeem hota hai. Aksar mushahida kia gia hai keh taqreeban 89% is tarah ke cancer mein fertilized andaa felopin tube ki andarooni satha per moqeem ho kar barhta hai aurat ke liye ye buhat pacheedgian paida karta hai.
Causes (Asbaab)
Is coundition ki wajah aurat ko pahlay pelvic diseases ho sakti hai pait main appendix ke phatne ki wajah ho sakti hai tissues mein infection ho sakti hai.
Clinical Features (Ilamaat)
Aurat ko ghair normal bleeding shoro ho jati hai pait ke nichle hissey per aik lumps ban jata hai aur dard hota hai agar ectopic pregnancy Fallopian tubes kay andar ho to fallopian tubes phat jati hai. Aur mareeza kay pait mein shaded dard hota hai blood pressure gir jata hai aur mareeza ki halat serious hojati hai.
Laboratory Test 
HCG hormones ki level kam hogi.
Ultrasound se pata chal sakay ga keh utérus ki cavity khali hogi. 
Pelvice ki laparoscopy ki jaye agar is kay andar bleeding ho to vagina kay culdesac mein seringe kay zareeye khoon ko aspirate kia jaye. Jo peri tonium mien bleeding ko zahir karta hai is se ectopic pregnancy ki tashkhees ho jaye gi.
Treatment Ilaaj
Mareeza ko foran hospital dakhil karwaya jaye. Laparoscope kay zareeye Fallopian mien se tissues ko nikal dia jaye. Agar fallopian  tube phat chuki ho to ise mukammal tor par  nikal dein.
Mareeza ko anti biotics dein khoon ki kami poori karne ke liye blood transfusion ka intezam karein. Agar pait ki cavity mein bleeding ho to condition intehai serious hai. Mareeza ki intehai nighadasht ki jaye

Puerperal infection | Zachgi kay baad bukhar
Zachgi kay baad aura ton ko bukhar aur preshani aam hai. In ki teen hisson main taqseem karsakte hain.
1.    maternity Blues 
2.    Post Partum Psychosis 
3.    Post Natal Depressive illness
1. Zachgi kay do teen baad aura ton mien jazbaati napaa'edari, kharash pazeeri aur anso'on ki takleef ho jati hai ye taqreeban 50% aura ton mien hoti hai. Ye chand dinon mein theek ho jati hai.
2- post partum psychosis 500-1000 mein se sirf aik baar hoti hai. Yeh delivery kay do din baad shoro hoti hai aura ton mien preshani paida hoti hai aura ton mien yeh shubhaat paida hote hain keh bache ki shakal kharab hai yeh koi beemari hai ya koi hawai asar hai. Janoon paida hone se ise khialat ubharte hain keh ya khood kashi karlain ya bache ko qatal kardain. 
Zachgi kay aik saal kay doran taqreeban 10 % maao'n  ko yeh dabao hota hai keh is kay sosraal walon ka kia salook hoga khawand ka rawayah kaisa hoga yeh soch kar in ko bukhar sa rahta hai.
In halat kay ilawa delivery kay baad andarooni infection ki wajah se aura ton ko bukhar hojata hai. Yeh bukhar 100 F se ziada hota hai yeh bukhar mandarjah zeel jarasim ki wajah se hota hai.
Strepetocus, E coli, enterococcus, peptostreptococcus waghairah.
Delivery se pehlay pani ki jhillia'n phat janay se jarasim vagina se oper uterus mien dakhil ho jate hain delivery kay doran zakhum aanay se infection ho jati hai aur bukhar charh jata hai agar infection khoon mien dakhil ho jaye to sakht bukhar hota hai pelvic ki wareedo'n mien zakham aane se bukhar laga tar charta hai aur bawajood anti biotique kay istemal kay kay istemaal kay taiz ho jata hai.
Laboratory Test 
Mareezah kay khoon, peeshab, balghum ka test kia jaye chaati ka x-ray lia jaye servex  aur utérusse troobatain lay kar in ka culture kia jaye in testo'n se jarasim aur infection ka pat achale ga.
Treatment | Ilaaj
Mareeza ko agar bukhar depression ki wajah se hai to ise anti depression dain Citalopram, Fluozetin, Clomipramox mareezah ko dain. Khorak ki moqdaar 20-60 mg hai.
Ampicillin Injection 1gm bazarya wareed har 6 ghante baad lagain. (Delacin C Inj) 600-900 mg bazaria wareed har 8 ghante baad lagain.
Mareezah ki zahni pareshani dard karne kay liye ise tasali dain keh Allah ne kina khoobsurat bachah dia hai. Is se sosraal wale, waldain aur khawand  sabhi behad khosh hain.
Dermatoses of pregnancy
Hamal kay doran jild mien choti choti tabdeelyan aati hain yeh char tarah ki hain.
1-    hamal kay doran mukhtalif dhabay parna
2-    Polymorphic Eruption of pregnancy
Is tarah se surkh dhabbe pahli pregnancy kay aakhri semester mien nikalte hain yeh chobhne wale aable hotay hain. Aur ghalban choti phunsian hoti hain. Yeh amooman pait se shoro hote hain aur phir baazo'n aur raanon tak phail jatay hain naaf per nahi hote.
Treatment
Is condition ka ilaaj bland emollients aur lateef strides se kia jata hai. Bache ki paidaish kay baad garmi danay gaib ho jate hain