Social Icons

Pages

Friday, 22 June 2012

Breast Examination - Chaati Ka Muaina


Woh aurtein jo choti age mein child paeda karti hain aur woh aurtein jo bachon ko pistaan (Breast) feed karti hain woh es beemari sey mahfooz rahtin hain. Agar es beemari ka initial stage mein pata chal jai to 10 mein sey 9 mareez sahatiyab hojatain hain. Es beemari ki diagnosis ap khud bhi kar saktain hain. Iss ka liye zarori hai ka har khatoon apni pistaan (Breast) ka baqaida examination karai. Yeh examination har month mein aik bar zaror hona chahiya. Taqai jitni jaldi pata chalaiga elaj bhi etna hi asan hoga. Mahwaari (menses) ka doran examination nahi karna chahiya kyun ka es doran pistaan (Breast) mein fitri tor per lumps mojood hotain hain. Lehaza examination mahwaari (menses) sey pahla yeh baad mein kara jai. (Womans Body)

Chaati Ka Muaina (Breast Examination)

    Monthly examination ka liye apni shirt utarka aik big mirror ka samnai kharai hojain. Arms dono side per latkai huey hon aur phir bari bari apna dono pistaan (Breast) ko ghoor sey dekhain ka kahin pistaan (Breast) ki external side per koi irregularities to nahi. Kahi koi dimple, puckering yeh koi swelling waghaira to nahi. Phir arms ko head sey ooper uthain aur dubara en chezon ko check karain. Dekhain ka nipples mein koi chang to nahi. Agar koi irregularity nazar ai to foran doctor sey contact karain. Phir palm ko nipples ka ooper rakh ka aram sey dabai. Usually aurton kay dono pistaan (Breast) baraber nahi hotey hain.

No comments:

Post a Comment